Holy Graves - Mazar Mubarak

Holy Graves - Mazar Mubarak Only Tasawwuf Can Unit The People(Ummah). Page admin "Imran Ghazi" Qadri Barkaati Razvi (ALHAMDULILLAH).

Hazat Allama Ghulaam Nabi Lillahi rahmatullāhi alaihi :♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦Aap ki wilaadat 1234 Hijri me Lillah shareef ...
06/09/2026

Hazat Allama Ghulaam Nabi Lillahi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Aap ki wilaadat 1234 Hijri me Lillah shareef (Zila Jhelum, Punjab, maujooda Pakistan) me hui.

****************
Aap ke waalid ka naam Maulana Qaazi Ghulaam Husain hai.

****************
Aap ne apne waalide maajid aur deegar ulama se ta’aleem haasil li.
Phir Peshawar me Maulana Ehsaan al-ma’aroof Haafiz Daraaz se mazeed ta’aleem haasil li.

****************
Aap Hazrat Khwaja Ghulaam Muhiy-ud-deen Kasuri rahmatullāhi alaihi ke mureed hue. Hazrat ne tawajjoh farmakar mukhtasar arse me maqaamaat tay kara diye aur khirqa e khilaafat ata farmaaya. Hazrat ne Aap ko Muraqaba Qur'ān ata kiya aur Aap 6 mahine me Haafize Qur'ān hue.

****************
Aap Jaame zaahir wa baatin aur Zubdatul Kaamileen the.
Aap ne ta’aleem wa faiz ata farmaana shuru kiya. Talba ko dars wa tadrees karte. 70 se 80 talba aap ki khidmat me haazir rehte. Unki kitaabe aur deegar zarooriyaat ka intazaam khud karte. Sab par yaksa tawajjoh rakhte. Jokitaab padhate uski sharh bhi saath me rakhte.

Aap hamesha Saadgi, Inkasaari aur narmi pasand farmaate. Takabbur aur ghuroor se door rehte.

Aap raat me ghusl karke 12 rak'at namaaze tahajjud ada farmaate. Phir talba ko sabaq padhate. Phir Namaaze fajr me imaamat farmaate. Phir taalibaane haq Aap ke ird gird halqa banakar baithte, Aap unhe faiz ata farmaate. Phir namaaze ishaaq ada farmaate. Phir haazireen ki mehfil me auliya Allāh ka zikr farmaate, is nooraani aur ba-barkat mehfil me log mushaahidaat se sarfaraz hote.

Aap ki tawajjoh se beshumaar logo ne hidayat paai.

****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Sulook besh qeemati hai, use paane ke liye khuda ki mohabbat, khaufe ilāhi aur murshid e kaamil ki ita’at hona zaroori hai.

(2) Bad-mazhab ki sohbat sher se ziyada khatarnaak hai kyun ki woh eimaan ko khaa jaata hai aur insaan dozakh me jaata hai.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba qahet pada. Logo ne Aap ki khidmat me haazir hokar dua karne ke liye arz ki. Aap ne farmaaya “Masjid ko gaare se leep do.” Logo ne kaha “Huzoor! Taalaab khushk ho gaya hai, gaara banaane ke liye paani hi nahi hai.” Aap ne farmaaya “ALLĀH! Itni baarish kar de ke gaara ban jaaye.” Logo ne ziyada baarish ke liye dua ki arz ki. Aap ne farmaaya “Tum log apne kaam me lag jaao.” Phir itni baarish hui ke gaara ban gaya aur jab masjid ko gaare se leep di to khoob baarish hui.

(2) Ek martaba Aap ne farmaaya “Apne aamaal durust kar lo aur apne gunaaho se tauba kar lo, mushkil waqt aane waala hai. Gehu ke saath ghin bhi peesta hai.” Magar kisi ne dhyan nahi diya. Is ke ba’ad haize ki beemaari phaili aur har roz qasbe ki 70-80 log marne lage. Aap ke chhote farzand Gul Muhammad ka bhi inteqaal ho gaya. Log Aap ki baargaah me aaye aur tauba ki. Aap ne farmaaya “Falaan falaan faasiq ko tauba karne ke liye kaho ya unse ta’alluqaat tod do.” Lihaaza un faasiqo ne tauba ki. Aap ne dua farmai aur haize ki waba door ho g*i.

****************
Aap Hazrat Khwaja Ghulaam Muhiy-ud-deen Naqshbandi Kasuri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

****************
21 Rabi-ul-Awwal 1307 Hijri (November 1889 A.D.) ko baroz Itwaar ko subah ko Aap ne farmaaya “Hazrat Kasuri ko dekha hai, shaayad lene ke liye aaye hain.” Phir Hazrat Kasuri aur deegar Auliya e kiraam ki hayaat aur wisaal ke waaqiyaat bayaan farmaaye. Phir khaadim Muhammad Deen se miswaak mangwaaya aur miskwaak karne lage. Jab azaan shuru hui to Aap azaan ka jawaab dene lage. Jab moazzin ne ‘Ash'hadu al-laa ilāha illallāh’ kaha us waqt Aap ne jawaab diya aur farsh par lait gaye aur inteqaal farmaaya.

****************
Aap ka wisaal 21 Rabi-ul-Awwal 1307 Hijri (November 1889 A.D.) ko hua.

****************
Aap ka mazaar Lillah (Punjab, Pakistan) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazat Allama Ghulaam Nabi Lillahi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

06/09/2026

Hazrat Khwaja Shaah Kaleemullāh Jahanabadi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Aap ki wilaadat 24 Jamaadi ul aakhir 1060 Hijri (1650 A.D.) me Delhi me hui.

Aap ke waalid ka naam Haaji Noorullāh bin Ustaad Ahmad Muamar Lahori al-Siddeeqi hai.

Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

Aap ke daada ne Taaj Mahaal aur Laal Qila ki taameer me hissa liya tha.

****************
Aap ne Hazrat Abul Rida Muhammad se taaleem haasil ki.
Aap ne Shaikh Burhaan-ud-deen aur Shaikh Bahlool se Kalaam ki taaleem haasil ki.

Phir aap ne Hajj e Baitullāh ada kiya.
Aap ne kuchh arse tak Makka aur Madeena me qayaam karke bahot saare aalimo aur buzurgho se Taswwuf ki taaleem haasil ki.

****************
Madeena munawwara me ek baar ek khajoor ke baagh me baithe hue the. Khwaja Yahya Madani ne ek shakhs se farmaaya ke ‘Shaher ke baahar kaafle ke saath Kaleemullāh naam ka ek shakhs khajoor ke baagh me baitha hua hai, us ko hamare paas le aao.’ Wo shakhs waha gaya aur aap ka naam lekar aawaaz di. Aap ne aawaaz to sun li thi lekin aap ye samjhe ke wo kisi aur ko bula raha hai.
Us Shakhs ne waapas aakar Hazrat se arz kiya ke ‘Waha is naam ka koi shakhs nahi hai. Maine aawaaz di magar kisi ne jawaab nahi diya.’ Hazrat ne us se farmaaya ke ‘Phir se jaao aur Kaleemullāh Jahanabadi kehkar aawaaz do.’

Us shakhs ne aisa hi kiya. Jab aap ne us ki aawaaz suni to aap ko yaqeen hua ke Wo mujhe hi bula raha hai. Aap ne us ko jawaab diya aur us ke saath chalkar Khwaja Yahyā Madani ki baargah me haazir hue aur ba’ait se musharraf hokar Khirqa e Khilaafat haasil kiya. Kuchh arse tak aap Peer o murshid ki khidmat me rahe aur faiz haasil kiya.

Meer Mohtaram ne Naqshbandi silsila ki aur Shaikh Muhammad Ghayaas silsila ki ijaazat ata farmaai.

Phir Delhi aakar madrasa aur ribat ki taamir ki aur talba ko taaleem dena shuru kiya.

Mughal Baadshaah Aurangzeb ne aap ki khaanqaah ki taameer ki.
Baadshaah Muhammad Muazzam Bahaadur shaah aap ke mureed the.

****************
Aap ke mash'hoor shaagird :
(1) Khwaja Shaikh Nizaam-ud-deen Aurangabadi
(2) Maulana Sayyed Saeed-ud-deen Rizwi
(3) Shaah Mohammad Haashim
(4) Maulana Shaah Zia-ud-deen
(5) Maulana Shaah Jamaal-ud-deen Jaipuri
(6) Maulana Shaah Jalaal-ud-deen
(7) Maulana Shaah Mohammad Ali
(8) Maulana Shaah Abdul Lateef
(9) Maulana Shaah Haafiz Mohammad Abdullāh
(10) Maulana Abdus Samad
(11) Makhdoom Shaikh Tharu
(12) Shaikh Badi-ud-deen urfe Shaikh Madari Nagori
(13) Khwaja Mustafa Muradabadi
(14) Sayyed Mohammed Ali
(15) Shaikh Budhan
(16) Haafiz Mahmood
(17) Haafiz Saeed Shaah
(18) Shaah Asadullāh
(19) Qaazi Abdul Wali
(20) Shaah Jaleel Qaadri.

****************
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Tilka Asharat Kaamilah
(2) Kashkul e Kaleemi (Chishti buzurgo ke Azkaar ka majmua)s
(3) Maktoobaat e Kaleemi
(4) Muraqqa Kaleemi
(5) Sawa alssabeel e Kaleemi.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Madeena munawwara me qayaam ke dauraan aap shaher se kuchh door ‘Rabaat e Aamir’ makaan me rehte the. Ek baar aap ne logo ko Rabaat se baahar nikalne ke liye farmaay aur khud bhi baahar tashreef laaye. Aap ke baahar tashreef laate hi rabaat ki chhat tootkar gir g*i.

(2) Aap ke ek mureed ka amrood ka baagh tha. Us ke darakht sukh gaye. Us ne aap se arz kiya. Aap ne apne wuzu ka bacha hua paani use dekar farmaaya ke ‘Is ko sukhe darakhto me daal dena.’ Us ne aisa hi kiya aur ALLĀH ke fazl se darakht hare bhare ho gaye.

(3) Ek baar Yamuna nadi me sailaab aane ki wajah se Delhi shaher ke aadhe ilaake me paani bhar gaya. Aap ne nadi ko apni had me rehne ke liye farmaaya to foran paani kam hone laga aur log mehfooz ho gaye.

(4) Aap ki dua se bahot saare mareezo ne shifa paai.
Ek baar ek na-bina ladki ne aap ki baargaah me aakar arz kiya. Aap ko raham aaya aur us ke liye dua farmai to use aankho ki roshni mil g*i.

****************
Aap Hazrat Khwaja Yahyā Madani Chishti ke mureed aur khalifa rahmatullāhi alaihi hain.

Aap ‘Chishti Kaleemi’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa :
(1) Khwaja Nizaam-ud-deen Aurangabadi rahmatullāhi alaihi,
(2) Maulana Saeed-ud-deen Rizvi rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ka wisaal 24 Rabi’ ul awwal 1142 Hijri (17 October 1729 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Shah Jahanabad (Delhi) me Jaama Masjid ke qareeb hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Shaah Kaleemullāh Jahanabadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

06/09/2026

Hazrate Rabia Basri al-Adawiya rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Aap ki wilaadat 96 Hijri (715 A.D.) me Basra (Iraq) me hui.

***************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Ismā'eel rahmatullāhi alaihi hai.

Aap apne waalidain ki chothi beti thi, Is liye aap ka naam ‘Rabia’ rakha gaya.

***************
Aap ke waalid itne ghareeb the ke aap ki paidaish ke waqt aap ko odhane ke liye kapda bhi nahi tha aur chiraagh jalaane ke liye tail bhi nahi tha. Aap ki walida ne apne shohar ko kaha ke “Aap padosi ke ghar se tel lekar aayen to hum chiraagh roshan kar saken.” Aap ke waalid ghar ke baahar nikle to darwaaze par unho ne socha ke “Maine kabhi apne Rab ke siwa kisi dusre ke saamne haath phailaya nahi hai.” Yeh sochkar woh wahi se khaali haath waapas laul aaye.

Us raat aap ke waalid ko khwaab me Huzoore akram Sarware kaa'inat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat hui aur farmaaya ke “Tumhare yaha paida hone waali yeh bachi ALLĀH ki barguzida bandi hai aur uske zariye ALLĀH ta’ala bahut se logo ko hidaayat ata farmaega aur roze mehshar woh mere 70000 ummatiyo ki shafa’at karegi. Tum Basra ke Ameer Eisā-e -Zadan ke paas jaao aur mera yeh paighaam use dena ke : Tum har raat 100 martaba aur Jumeraat ko 400 martaba mujh par Durood shareef padhte ho. Is Jumeraat ko kisi wajah se tum yeh nahi kar paaye ho. Is liye kaffaare me tumhe is aane waale shakhs ko 400 deenaar ka hadiya dena hai.”

Jab Hazrate Ismā'eel jaage to aap ki aankh me khushi ke aansoo the. Subah ko woh Ameer e Basra ke paas gaye aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka paighaam use diya. Use dekhkar woh khush ho gaya ke “Mere Aaqa mujhe yaad karte hain.” aur us ne aap ko 400 deenaar diye aur saath me 1000 deenaar ghareebo me khairaat kiye. Aur kaha ke “Jab bhi koi bhi zaroorat ho to foran mere paas aa jaana.”

***********
Aap ke waalid ke inteqaal ke baad Basra me qehat pada. Aap jab ek qaafile ke saath jaa raha thi tab Dakaito ke giroh ne Aap ko pakad liya aur aap ko ghulaam banaakar bech diya. Aap ka maalik aap se bahot zyada kaam karaata tha. Pura din bhari kaam karne ke baad bhi aap puri raat ibaadat e ilāhi me guzaarti thi aur kai baar din ko roza bhi rakhti thi.

Ek baar der raat ko maalik jaaga to Rabia ibaadat me mashgool thi aur aap ke aas-paas noor chhaaya hua tha aur aap keh rahi thi ke “Aye mere Rab! Tu jaanta hai ke meri khwaahish hai ke main tere ahkaam par amal karti rahu aur dil se teri ibaadat karna chaahti hu. Aye meri aankho ke noor! Agar main aazaad hoti to pura din aur puri raat teri ibaadat me guzaarti. Magar main kya karun ke tum ne mujhe insaan ka ghulaam bana diya hai.”
Yeh sunkar maalik ko ehsaas hua ke is ALLĀH ki waliya ko ghulaam banaakar rakhna yeh be-adabi hai.
Subah ko us ne Hazrate Rabia ko bataaya ke “Main aap ko aazaad karta hu aur agar aap chaahe to aap ki khidmat karna chaahta hu. Agar aap chaahe to is ghar main reh sakti hain aur agar aap ki marzi yaha se jaane ki ho to aap jaa sakti hain.”

Aap ne farmaaya “Mera iraada yaha se nikalkar tanhaai me ALLĀH ta’ala ki ibaadat karne ka hai.”

**************
Aap ghar ko chhodkar sehra [desert] me ibaadat wa riyaazat me lag g*i.
Aap apne saath sirf ek maskija aur ek chattai rakhti thi aur aaraam karte waqt Aap sar ke neeche ek patthar ya eent rakha karti thi.

***********
Ek martaba aap ke yaha chand mehmaan aaye. Aap ki khaadima ne bataaya ke “Ghar me ek roti ke siwa kuchh bhi nahi hai.” Aap ne farmaaya ke “Is roti ko le jaakar kisi miskeen ko de do.” Khaadima ne aisa hi kiya.
Chand lamho ke ba’ad kisi ne aap ke darwaaze par dastak di. Puchha ke “Kaun hai?” to bataaya ke “Main falaan ka khaadim hu. Khaana lekar aaya hu.” Darwaaza kholkar dekha to 5 rotiya thi. Aap ne farmaaya “Ise waapas le jaao. Ye hamare liye nahi hai.”
Chand lamho ke ba’ad kisi ne phir se darwaaze par dastak di. Puchha ke “Kaun hai?” to bataaya ke “Main falaan ka khaadim hu. Khaana lekar aaya hu.” Darwaaza kholkar dekha to 7 rotiya thi. Aap ne use bhi farmaaya “Ise waapas le jaao. Ye hamare liye nahi hai.”
Chand lamho ke ba’ad kisi ne phir se darwaaze par dastak di. Puchha ke “Kaun hai?” to bataaya ke “Main falaan ka khaadim hu. Khaana lekar aaya hu.” Darwaaza kholkar dekha to 10 rotiya thi. Aap ne use le liya aur farmaaya “Ye hamare liye hai.”
Khaadima ne arz kiya “Pehle 2 baar aap ne khaana waapas kyun bhej diya?” Aap ne farmaaya “ALLĀH ne farmaaya hai ke 1 neki ka 10 badla ata farmaega. Hum ne 1 roti sadqa ki thi to hume 10 milni chaahiye. Is liye maine intazaar kiya.”

***********
Aap Hazrat Khwaja Hasan Basri rahmatullāhi alaihi ki mureed hain.

***********
Aap Qalandar me shaamil hain.

Aap ne apne waqt ke kai mash'hoor ulama se mubaahisa kiya.

***********
Jab koi aap se nikaah karna chaahta to Aap yeh kehkar inkaar kar deti ke “Main puri zindagi sirf ALLĀH ta’ala ki ibaadat me guzaarna chaahti hu.”

Khwaja Hasan Basri ne Aap ko nikaah ka paighaam bheja to Aap ne farmaaya “Agar koi shakhs mujhe yeh bata de mera naam-e-aamaal sidhe haath me diya jaayega ya ulte haath me, meri neki ka palda bhaari hoga ya nahi aur main pul siraat ko paar kar sakungi ya nahi to main us se nikaah karne ke liye tayyaar hu.”

***********
Aap hamesha yeh dua karti thi ke “Aye ALLĀH! Agar main dozakh ke khauf se teri ibaadat karti hu to mujhe dozakh ki aag me jalaana,
Aur agar main jannat ki khwaahish se teri ibaadat karti hu to mujhe jannat se door kar dena,
Lekin agar main sirf teri raza ke liye ibaadat karti hu to mujhe tere husn o jamaal ka deedaar ata farmaana.”

***********
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaati hain :
(1) ALLĀH ta’ala se mohabbat karni chaahiye kyun ki woh hamara Rab hai, us ke khauf ki wajah se nahi.

(2) Tauba ki taufiq ALLĀH ta’ala ka in'aam hai kyun ki ALLĀH ta’ala jise pasand karta hai us maqbool bande ko hi yeh taufiq ata farmaata hai.

(3) Koi shakhs kaamil nahi ban sakta jab tak ke woh deen ko apni nafsaani [zaati] khwaahishaat par tarjeeh na de.

(4) Achhe aur logo ki bhalai ke kaam me mashgool rehna yeh buzurgi ki nishaani hai.

(5) Mo’min ka dil us mombatti ki tarah hona chaahiye jo khud pighalkar bhi dusro ko roshni deti hai.

(6) Insaan ke dil me duniya ki mohaabat aur khuda ki mohabbat ek saath jama nahi ho sakti.

(7) Amal ke baghair Ilm aisa hai jaise Rooh ke baghair J**m.

***********
Ek baar Hazrat Khwaja Hasan Basri rahmatullāhi alaihi ne Aap ko jheel [taalaab] ke kinaare dekha. Unho ne apna ja-namaaz paani par bichhaakar farmaaya ke “Raabia! Chalo yaha 2 rak'at namaaz padh lete hain.” Yeh sunkar Aap ne apna jaa-namaaz hawa me rakha to woh thehar gaya. Phir Aap ne kaha ke “Chalo, yaha namaaz padh lete hain.”
Phir Aap ne farmaaya “Aap ne jo kiya woh ek machhli bhi kar sakti hai aur maine jo kiya woh ek makhi bhi kar sakti hai. Hum kyun apni karaamat duniya ko dikhaakar waqt barbaad karen, Asl me woh cheez zaahir karni chaahiye jo aap ke saathi nahi dikha sakte.”

***********
Aakhri kucch saal Aap Jerusalem me qayaam pazeer rahi.

Aap ke wisaal se pehle aap ne Abda bint Abi Showal se farmaaya tha ke “Mere inteqaal ki khabar logo me na phailaana aur mujhe mere puraane kurte se hi kafn dena.”

Aap ne wisaal ke waqt waha maujood tamaam mash'hoor mashaa'ikh se farmaaya ke “Aap sab baahar chale jaayen aur farishto ko andar aane den.”
Sab ne aisa hi kiya aur makaan ka darwaaza band karke baahar intazaar karne lage.
Kuchh der ba’ad sab ne ghaib se ek aawaaz suni “Aye Itminaan waali jaan [nafs e mutma'eenna], apne Rab ki taraf laut jaao, Tum us se raazi ho aur woh tum se raazi hai.”

***********
Aap ka wisaal 23 Rabi-ul-awwal 185 Hijri (11 April 801 A.D.) ko hua.

***********
Aap ka mazaar Kohe Toor, Jerusalem (Palestine) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrate Rabia Basri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

04/09/2026

Hazrat Meeraan Sayyed Shaah Muzaffar Husain Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Sayyed Shaah Baaba, Bade Peer.

****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Yahyā bin Sayyed Husain Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Hasani saadaat hain.
Aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

****************
Sultaan Muzaffar Shaah Ṡaani ke zamaane me Baghdad se Aap 900 Hijri me Baghdad se safar karke Hindustan tashreef laaye. Aap pehle Nagar Thattha (Maujood Pakistan) me qayaam farmakar ta’aleem e deen karte rahe. Phir Lahore se hote hue jahaaz se safar karke Surat (Gujarat) tashreef laaye. Yaha Sultaan Muzaffar Shaah Ṡaani ne Aap ka istaqbaal kiya aur tabligh e deen ke liye Una jaane ke liye arz ki. 4 julaaye ke saath Aap ke liye doli ka intazaam kiya.
Aap Una (Gujarat) me sukoonat pazeer hokar ta’aleem wa faiz se logo ko hidayat ata farmaate rahe aur isha’at e islaam karte rahe.

Aap Haafiz o Qaari aur jayyaad Aalim the aur Qur'ān, Hadeeṡ, Tafseer, Fiq'h aur Tasawwuf ke maahir the.
Aap ne apne haatho se Qur'ān majeed be-miṡaal Faarsi tarjuma aur tafseer ke saath likha hai.

Aap Taaj-ul-Ulama, Aarif billāh, Muttaqi wa Zaahid, Wali e kaamil aur Saahib e Kashf o karaamat the.

****************
Aap ka nikaah Sayyeda Faatima binte Sayyed Husain rahmatullāhi alaihi se hua.
Aap ke 2 saahabzaade hain.

****************
Aap Hazrat Sayyed Soofi Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke khalifa (aap ke saahabzaade) Sayyed Mohammad Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi hain.

****************
Aap ka wisaal 22 Rabi-ul-Awwal 925 Hijri (March 1519 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Sayyed waada, Una (Gujarat) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Meeraan Sayyed Shaah Muzaffar Husain Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

04/09/2026

Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunjmuradabadi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Owais-e-Dauraan, Ghauṡ-e-Zamaan, Qutub-ul-Waqt.

****************
Aap ki wilaadat 1 Ramazaan 1208 Hijri (1794 A.D.) ko Subah saadiq ke waqt Mallawan (Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Makhdoom Shaikh Ahllullāh bin Mulla Mohammad Faiyaaz aur waalida ka naam Baseerat bibi binte Sayyed Rahmatullāh Shaah hai.

Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ki naana Saadaat hain.

****************
Aap ke waalid ke Peer o murshid Hazrat Maulana Abdur Rahmān Lakhnawi rahmatullāhi alaihi ne aap ki wilaadat ki bashaarat pehle hi se Aap ke waalid ko de di thi.

Aap ki umr jab 6 saal ki hui to ek din aap ke waalid Aap ko apne saath apne Peer o murshid ke paas le gaye. Maulana Abdur Rahmān Lakhnawi ne Aap ko dekhte hi farmaaya ke ‘Ye ladka Hindustan ka Qutub hoga.’

Ek baar Hazrat Ghulaam Ali Dehalwi Saahab rahmatullāhi alaihi ne Aap ko dekhkar masarrat ke saath farmaaya ki ‘Ye wo Noor hai jo mashriq se maghrib tak ko roshan kar dega.’

**************
Aap paida'ishi wali the.
Ramazaan me paida hone ki wajah se paidaish se hi din ke waqt me doodh nahi peete the, sirf maghrib ke baad raat ke waqt doodh peete.

Bachpan me aap khelna pasand nahi karte the. Dusre bache puchhte to aap kehte ‘ALLĀH ne mujhe khelne ke liye dunya me nahi bheja hai.’

Jab 2 saal 6 maah ke hue tab Kalma padhna shuru kiya.

3 saal 6 maah ki umr me Aap ne ek baar Hazrat Maulwi Haidar Ali Shaah rahmatullāhi alaihi se puchha ‘Aap akṡar gardan jhukakar kya karte hain?’ Unho ne farmaaya ‘Beta! Main Zikr e Ilāhi kiya karta hu.’ Aap ne arz kiya ‘Main bhi Zikr e Ilāhi karna chahta hu. Aap mujhe bhi sikha den.’ Hazrat ne Aap ko Zikr e Ilāhi ki taaleem dena shuru kiya. Chand mahine me Aap Zikr e Ilāhi sikh gaye.

Aap ki 9 saal ki umr me Aap ke waalid ka inteqaal hua. Is ke baad aap ki waalida ne Aap ki parwarish ki.
Aap ki waalida mushkil haalat me bhi kisi rishtedaar ki madad nahi maangti thi, sirf ALLĀH ta’ala se madad ke liye dua karti thi.

****************
Aap ne Bahr-ul-uloom Maulana Mohammad Noor saahab Firangi-mahali se dars e nizaami aur dusre uloom ki ta’aleem haasil ki.

Hazrat Maulwi Haidar Ali Shaah rahmatullāhi alaihi ke mashware par 1221 Hijri (1806 A.D.) me Aap Delhi jaakar Hazrat Khwaja Muhammad Aafaaq Shaah Mehraulwi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.

Jab aap Delhi tashreef laaye tab Khwaja Muhammad Aafaaq Shaah ne pehle se hi apne mureedo ko Aap ke istaqabaal ke liye bhej diya. Jab Aap Khwaja ki baargaah me tashreef laaye to Khwaja ne Aap ko seene se lagaaya aur farmaaya ki ‘Ek roz tum dunya me sooraj ki tarah chamkoge.’
Bai’at karne ke baad apne saath apne ghar le gaye aur apni saahabzaadi aur daamad Hazrat Maulana Shaah Abdul Gani rahmatullāhi alaihi se farmaaya ‘ALLĀH ne khaas karam se inhe hume ata farmaaya hai. In ka hume bahot intazaar tha. Tamaam aalam in ke darya e faiz wa rahmat se sairaab hoga.’

****************
Is ke baad Aap ne Peer ki ijaazat lekar Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi se Usool-e-Hadeeṡ sikhna shuru kiya.
Pehle din Hazrat ne Aap ko aam talba ki tarah rakha. Aap raat ko bhuke pait hi so gaye. Raat me Hazrat ko ALLĀH jaane kya bashaarat hui ke dusre din Aap ko bulaakar mohabbat ke saath farmaaya ‘Aaj se tum roz raat ko mere saath khaana khaaoge.’ Aur aap ko raat ko Isha’ ke baad waqte tahajjud tak Hadees ki taalim dena shuru kiya. Is me sirf Hazrat ke daamaad Sayyed Zahir-ud-deed Shaheed ko hi shareek hone ki ijaazat thi.
Ek baar Sayyed Zahir-ud-deed Shaheed ne Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi se raat ko Ishaa ke baad waqte tahajjud tak ka taaleem ka muqarrar waqt badalne ke liye arz kiya. Hazrat ne farmaaya ke ‘Fazl-e-Rehmān ko alaahida padhaane ka raaz ye hai ki wo tawajjohaat e Risaalat se padhte hain aur un ko bafaiz Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam uloom ata ho rahe hain. Chunaanche main chaahta hu ke tum roz is me shirkat karke faiz haasil karo.’

****************
Phir kuchh arse tak apne Peer ki baargaah me rehkar faiz haasil kiya.

Phir 1242 Hijri (1826 A.D.) me apne Peer ke farmaan par Gunj-muradabad tashreef laaye.
Aur puri zindagi khidmat e deen karte rahe.

****************
Aap hamesha har baat me saadgi apnaate.
Hamesha haajatmando ko madad karte.
Zyada waqt ibaadat wa riyaazat me guzaarte.
Aap hamesha Sunnat e Rasool par amal karte.
Aap farmaate the ke ‘Sunnat e Rasool se hi Ghausiyat aur Qutubiyat hai. Jo Sunnat par amal na kare wo kabhi wali ho nahi sakta.’

****************
Ek bar Aap apni zauja ke saath baithe hue the. Ek peer-zaada kamre ke andar tashreef laaye aur aate hi behosh ho gaye. Hosh aane ke baad Hazrat ne puchha ‘Are bhai! Be-hosh kyun ho gaye?’ Us peer-zaade ne kaha ‘Main jab andar aaya to aap ke saath Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ko tashreef farma dekhe. Un ka jamaal dekhkar main be-hosh ho gaya.’ Aap ne muskurakar farmaaya ‘Bas ek hi jhalak me yeh haal hai?’

Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ne tashreef laakar Aap se 2 rak’at namaaz ada karne ke liye farmaaya. Aur Aap ne Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ke saath 2 rak’at namaaz ada ki.
Aap us maqaam (musalle) par kabhi baithte nahi aur kisi ko baithne bhi nahi dete.
Haal me us maqaam par Aap ka mazaar mubarak hai.

Isi tarah Aap ko Hazrat Ali al-Murtaza aur Sayyeda Faatima Zahara radiy-Allāhu ta’ala anhu ki bhi ziyarat hua karti thi.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
♦ ALLĀH ta’ala ne Aap ko jaanwaro par hukoomat ata farmai thi. Jaanwar bhi Aap ka hukm maante the.

Bachpan me Aap ne kabootar pale the. Ek baar billi ek kabootar ko lekar bhaagne wali thi. Aap ne billi se kaha ‘Chhod de.’ Foran billi ne kabootar ko chhod deya.

Ek baar ek bhediya ek chhote bache ko uthaakar bhaag raha tha. Log bache ko bachaane ke liye us bhediye ke pichhe bhaage. Jab wo bhediya Hazrat ke saamne se guzra to aap ne us bhediye ko ghoorkar dekha. Foran wo bhediya bache ko wahi chhodkar bhaag gaya. Us waqt Hazrat ki umar 5 saal se kam thi.

Ek baar log bahot israar karke Hazrat ko apne saath shikaar par le gaye. Bahot der tak mehnat karne ke baad bhi logo ke haath koi shikaar na laga. Phir bahot door logo ko hiran ka tola aate hua dikha. Logo ne Hazrat ko nishaana lagaane ke liye kaha. Aap ne nishaana nahi lagaaya magar hirano se mukhaatib hokar buland aawaaz se farmaya ki ‘Tum me se ek hiran mere pass aa jaaye aur baaqi waapas chale jaao.’ Ye sunte hi ek hiran daudkar chala aaya. Log khush ho gaye aur hiran ko zinda hi ghar le jaane ki tayyaari karne lage. Hazrat ne logo se farmaaya ke ‘Aaj hiran ne yahan aakar tum logo ka dil rakh liya. Ab tum log is hiran ko aazaad kar do.’ Hazrat ki yeh baat sunkar logo ne hiran ko chhod diya.

♦ Aap ALLĀH ta’ala ke fazl se sirf dua karke sab ko shifa ata farmaate. Aap ne bahot saare mareezo ki shadeed beemaariyo ko sirf paani dekar door kiya hai.

****************
Aap ki 3 biwiya aur 4 bete aur 1 beti hain.

Saahabzaade :
(1) Shaah Abdur Rahmān;
(2) Shaah Abdur Raheem;
(3) Shaah Ahmad Miyan;
(4) Sayyed Mohammad Urfe Saidu Baaba (Jo paida'ishi mazdoob the).

Saahabzaadi :
Shafqat Bibi.

****************
Aap Hazrat Khwaja Muhammad Aafaaq Shaah Mehraulwi rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se ‘Naqshbandi Fazliya’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Maulana Shaah Ahmad Miyan Gunj-muradabadi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Maulana Abdul Kareem Punjabi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Shaikh-ul-Muhaddeeṡeen Wasi Ahmad Surati rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Maulana Sayyed Zahoor-ul-Islaam Fatehpuri rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Maulana Mohammad Ali Mungeri rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Maulana Mohammad Idrees Nigrami rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Maulana Badr Ali Shaah Raebarelvi rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Maulana Tajammul Husain Bihari rahmatullāhi alaihi,
(9) Hazrat Mohaddees Jaleel rahmatullāhi alaihi,
(10) Hazrat Maulana Zaheer Ahmad rahmatullāhi alaihi,
(11) Hazrat Maulana Noor Mohammad Punjabi rahmatullāhi alaihi,
(12) Hazrat Maulana Ahmad Hasan Kanpuri rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Sayyed Muhammad Ma’aroof Madani Shaah rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Ejaaz Husain Budayuni rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ne wasiyat farmaai ke “Naza'a ke waqt mere paas Hadeeṡ shareef padhi jaaye taake meri rooh Hadeeṡ shareef sunte sunte nikle.”

Aap ka wisaal 22 Rabi ul awwal 1313 Hijri (September 1895 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.

Aap ka mazaar Gunjmuradabad (Uttar Pradesh) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Fazl-e-Rahmān Gunjmuradabadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

01/09/2026

Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-e-Muhaqqiq, Fakhr-e-Millat.

*****************
Aap ki wilaadat 958 Hijri (1551 A.D.) me Delhi me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaikh Saif-ud-deen Turk Bukhari bin Shaikh Sa’adullāh rahmatullāhi alaihi hai.

Aap ke par-daada Agha Muhammad Turk Bukhara se Delhi aaye the.

***************
Bachpan se hi Aap ko Ilm e deen sikhne ka bada shauq tha.
Aap ko khel-kood ya sair-tafreeh me waqt zaaya karna pasand nahi tha.

Aap ne apne waalid se Qur’an majeed ki ta’aleem 3 mahine me mukammal ki aur is ke baad Haafize Qur’an hue.
Aap din aur raat me zyada waqt padhne aur likhne me guzaarte.

***************
988 Hijri (1581 A.D.) me Mughal baadshaah Akbar ne sab mazhab ko milaakar Deen-e-Ilāhi banaaya to Aap ne use maanne se inkaar kiya aur farmaya ke ‘Sirf deene Islaam hi sahi hai.’

***************
995 Hijri (1586 A.D.) me Aap Ahmedabad tashreef le gaye to Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Alwi Gujrati rahmatullāhi alaihi ki khidmat me rehkar faiz haasil kiya aur azkaar o ashgaal ki ta’aleem haasil ki.

***************
996 Hijri (1587 A.D.) me Aap Hajj ke liye gaye.
Aur phir Aap ne 3 saal se zyada majeed ta’aleem ke liye Makka aur Madeena shareef qayaam kiya.
Is dauraan Aap 4 martaba khwaab me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat se musharraf hue.

Makka mukarrama me Aap Shaikh Abdul Wahaab Muttaqi rahmatullāhi alaihi ke saath Shaikh Ali Muttaqi rahmatullāhi alaihi ke mazaar par jaaya karte the. Ek roz Aap tanha Shaikh Ali Muttaqi ke mazaar par gaye aur iltija ki.
Chunaanche ek raat Aap ne khwaab me dekha ke Shaikh Ali Muttaqi Masjid e Haraam me Maqaam e Hanafi me (jaha par Hanafi Imaam namaaz padhaate the) ek takht par baithe hue hain aur aap un ke saamne khade hue hain. Aap ne arz kiya ke ‘Main Aap ke khalifa Shaikh Abdul Wahaab Muttaqi ki sohbat me rehta hu. Aap bara e karam un se shifaarish kar dijiye ke wo meri jaanib mutawwajeh ho aur mujh par zyada meharbaani farmaayen.’ Hazrat ne farmaaya ‘Mutmaeen raho. Aap ka matlab pura ho jaayega.’
Aap ne Shaikh Abdul Wahaab Muttaqi rahmatullāhi alaihi se Hadeeṡ, Tasawwuf aur dusre uloom ki ta’aleem haasil ki.

Madeena munawwara me haazri ke liye Aap nange paav tashreef le jaate.

*********************
Is ke baad Aap ne Hindustan waapas aakar ta’aleem aur tadrees shuru ki.
Aap ne khaanqaah aur madrasa wa taameer ki jis me talba ko rehne ka intazaam kiya.

*********************
1001 Hijri (1592 A.D.) me Aap ne Hazrat Moosā Shaheed Multani Qaadri rahmatullāhi alaihi se bai'at ki.

*********************
Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne khwaab me tashreef laakar Aap ko faiz ata farmaaya aur bashaarat farmaai ke ‘Buzurg khwaahi shud (Tu buzurg ho gaya).

***************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ne taqreeban 60 kitaaben likhi hain.

Aap ki mashhoor kitaaben :
(1) Ash’at-ul-Lam’at (Sharah e Mishkaat Shareef)
(2) Taarikh-ul-Madeena
(3) Madaarij-un-Nabuwwah
(4) Akhbaar-ul-Akhyaar (Auliya e Hindustan ka bayaan)
(5) Taarīh-e-Haqqi
(6) Takmeel-ul-Eimaan
(7) Maraaj-ul-Bahrain
(8) Fahras-at-Tawaaleef (Arabi)
(9) Mo’min ke maah o saal.

Is ke ilaawa Aap ne bahot saari Nazmen bhi likhi hain.

***************
Aap ke 3 saahabzaade hain.

***************
Aap Hazrat Sayyed Moosā Shaheed Qaadri Multani rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Shaikh Abdul Wahaab Muttaqi Qaadri rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Shaikh Noor-ul-Haq rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Allama Haidar bin Firoz Kashmiri rahmatullāhi alaihi.

***************
Wisaal se pehle Aap ne wasiyat farmai ke ‘Meri qabr ke sarhaane taaq bana kar us me Shajarah rakh diya jaaye aur meri qabr par mote harfo me wo ibarat likh di jaaye jo mere waalid e mukarram Shaikh Saif-ud-deen rahmatullāhi alaihi Ke kafan par likhi g*i thi : ALLĀH mera Rab hai, Huzoor Mohammadur Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam mere Nabi hain aur Huzoor Shaikh Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu mere Shaikh hain.’

***************
Aap ka wisaal 21 Rabi ul Awwal 1052 Hijri (19 June 1642 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Mehrauli, Delhi me Qutub Minar ke qareeb hai.

***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Address

Mumbai

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Holy Graves - Mazar Mubarak posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Shortcuts

Share