12/05/2024
Hamare baani Er Rasheed Sahab ne hamesha kashmiri qoum ki rehnumayi ki hai. Jab b rivayati siyastdanu ne kashmiriyu k pet mai khanjar khopa, Rasheed Sahab ne apna Seena aage kr k kashmiriyu ki tarjumani ki. Chahe J&K assembly ho ya J&K ka koi b ilaqa, Rasheed Sahab ne hamesha haq k liye aawaz uthayi. Yeh NC, PDP, PC, DAP, JKAP wagairah sab kashmiriyu k dushman hai jinhune apne maffad ki khatir kashmiri qoum ko burbaad kiya. Yeh begairat jante hai ki Rasheed Sahab inki tarah bikaw nhi hai. Yeh Art370 wapis laane ki baat kr rhe hai, Gupkar alliance ki baat kr rhe hai, magar inhune kbhi Rasheed Sahab ki baat nhi ki.
Iss baar Er Rasheed Sahab ko vote de kar, unko jita kr inn iqtidar k gulamu ko dikhana hai ki chahe zabardasti aur khouf se aap ne hamse sab kuch cheen k chup karaya ho magar hum Rasheed Sahab k sipah salaar hai. Yeh log chahe jitna b hamey dabana chahe, jitna hamari awaaz ko jail k khouf se khamosh krna chahe, hum khamosh hone waley nhi. Jab tak jaan hai hum haq ka saath chodne waley nhi.
Baaki sab siyasatdanu ne jail k Darr aur iqtidar ki lalaj mai compromise kr k hum kashmiriyu k jazbaat, ehsasat aur khuddari ki qimat lagayi hai magar Er Rasheed Sahab na darey hai aur na inki tarah bikey hai.
Iss bar hum nawjanu ko Delhi mai bethe tanashahu ko dikhana hai ki Kashmiri qoum drne wali nhi. Tum chahe kitna b zulum kr lo, kitne hi begunahu ko jail mai daal do, kitne hi bekusuru ko mukhtalif harbe kr k unka jeena haram kr do, hum khamosh hai magar chup nhi. Iss election mai Er Rasheed Sahab ko kamyab kr k Omar Abdullah ko dikho do ki hamey 2010 mai 120 se zyada logon ki shadat yaad hai, PDP ko dikha do ki hum doodh aur toffee lene nhi balki doodh peene waley bacchu k waliden ko lene jaate thay, PC ko dikha do ki jab eik aam admi ko isliye jail mai daala ja rha tha ki woh kbhi kisi hurriyat ki function mai gaya tha aur khud uska bhai Hurriyat ka 1 faction chala rha tha magar usay kyun kbhi arrest nhi kiya gaya. Yeh sab bikaw log hai, ana parst hai, kashmiryu k dushman hai.
Ab yeh hamari zimadari hai ki Kashmir k haq mai, kashmiri k haq mai, Er Rasheed k haq mai vote de k in munafiqu ka niqaab utar de.
Aap iss baar inko dikhaye, Er Rasheed ko kamyab banaye. 🙏
Kya hai naaraie AIP, aam aadmi VIP.