18/07/2021
Yeh aakho ke niche hai d**o ka pehra kyu?
Yeh jakhm j**m pe itna gehra kyu?
Fiki padi h aj muskan chehre ki.
Khamosh khada hai aaj tera seher kyu?
In badi badi aakho mai khAwab salone palte the
Batao in palko pe sirf aakhu hi thehra kyu?
Rup ke jiske kayal the seher ke ashique jiske pi6e pagl the
Aj wo chand sa chehra fika kyu?
(Itna sunn wo ro padi aur apne pr huye julm ko batane lagi)
Sunsan sadak ko dekh kr mujhe uthaya gaya tha.
Jhariyo mai mujhe le jaya gaya tha
Mere baalo ko pakad kr mujhe ghasita gaya tha.
Jaanwaron ki tarah mujhe pita gaya tha.
Mera hi scarf mere muh mai thusa gaya tha.
Jo dupatta meri ijaat dhakne ke liye tha.
Usi se mere dono haatho ko bandha gaya tha.
Mere kapro ka fad mere har hisse ko nocha gaya tha.
Meri kalayi ko maror kr mere haddi ko tod diya gaya tha.
Sharab ki bottle mere andar ghusakar..
Bottle ko andar hi fod diya gaya tha.
Jinda hote huye v mujhe jahannum ka ehsaas dilaya gaya tha
Meri aakhri sas tak mujhe ajmaya gaya.
Marr gayi insaniyat pr magar wo insaan jinda hai.. J**m ko noch khane wala wo shaitan zinda hai.
Roj ek dropdi ki lutti h abru... Aaj v kaha na kahi in darindo mai wo dusasan zinda hai.
(Jate jate mai ek pankti kehna chahunga)
Lutera agar ajad h toh apman sbka hai..!!
Luti h ek beti toh luta samman sbka h.
Bano insaan pehle chhor kr tum baat majhab ki..
Lado mil kr darindo se
Yeh HINDUSTAN sabka hai.
JAI HIND
Written By