30/10/2025
Kartik ke pavitra mahine mein Innerwheel Club ki mahilayein Brij Ghat Ganga snaan ke liye gayi. Wahan sabne milkar pooja-archana ki aur 108 logon, jinmein saadhu-sant bhi shaamil the, ko bhojan prasad khilaya. Saadhu mahatmaon ko dakshina di gayi aur saafiyan bhi baanti gayi. Poore samay sabhi mahilayon ne bada anand liya aur yeh yatra sabke liye ek pavitra aur yaadgaar anubhav rahi.