26/06/2026
ASHURA 😭
Aaj bhi Karbala ki rait par bikharay hue aansuon ki sada sunai deti hai. Imam Hussain (AS) aur unke wafadar saathiyon ki shahadat insaniyat ko yeh paigham deti hai ke haq ke liye sar jhukaya nahi jata, balki qurban kar diya jata hai. Ashura gham ka din hai, sabr ka din hai, aur un azeem qurbaniyon ko yaad karne ka din hai jo qayamat tak dilon ko num rakhen gi.