ILM, AAMAL & DUA

ILM, AAMAL & DUA aliwaly.com

Hazrat Abutalib a.s. Ki Wiladat Momeneen Ko Mubarak 👏
20/05/2023

Hazrat Abutalib a.s. Ki Wiladat Momeneen Ko Mubarak 👏

*🛑 माहे रमज़ान में इन्शाअल्लाह रोज़ाना दुआ और आमाल के मेसेज वोट्सअप पर भेजे जाते हैं, जो भी दुआ पढ़ना चाहे वो इस नंबर पर...
24/03/2023

*🛑 माहे रमज़ान में इन्शाअल्लाह रोज़ाना दुआ और आमाल के मेसेज वोट्सअप पर भेजे जाते हैं, जो भी दुआ पढ़ना चाहे वो इस नंबर पर अपना नाम और अपने शहर का नाम लीखकर वोट्सअप करे.*
*📲 9867786928*

*रोज़ाना दुआ का कुछ हिस्सा वोट्सअप किया जाएगा जैसे ⤵️.*

*1 : रोज़ाना शब और दिन की नमाज़ और दुआ.*
*2 : दुआए अबु हम्ज़ा शुमाली का कुछ हिस्सा.*
*3 : दुआ ए इफ्तेताह.*
*3 : दुआ ए जवशने सग़ीर.*
*4 : दुआ ए मुजीर.*
*5 : दुआ ए तौबा.*
*6 : दुआ ए मकारेमुल अखलाक़.*
*वगैरह वगैरह.*

*दुआ हिन्दी, गुजराती और इन्गलिश में जीस भाषा में चाहिए लीखकर वोट्सअप करे. इन्शाअल्लाह कोशिश करेंगे आपको उसी भाषा में वोट्सअप करेंगे.*

*🙌🏻 Mahe Ramdhan Me Rozana Sehri Me Padhi Jane Wali Dua Ka Tarjuma.**بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●**Ay Musiba...
24/03/2023

*🙌🏻 Mahe Ramdhan Me Rozana Sehri Me Padhi Jane Wali Dua Ka Tarjuma.*
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*Ay Musibat Me Meri Panaah Gaah, Ay Meri Sakhti Me Mere Fariyaad Ras, Mai Khauf Zada Tere Paas Aaya Hu Aur Tujse Fariyaad Karta Hu Aur Teri Taraf Sabqat Leta Hu Aur Tere Gair Ki Panaah Nahi Leta Hu Aur Tere Alaawa Kisi Se Gasha'ish Ka Taalib Nahi Hu Lehaza Meri Fariyaad Ko Soon Aur Muje Gasha'ish Ataa Farma Ay Wo Jo Thode Se Bhi Amal Qubul Karta Hai Aur Bahut Se Gunaah Maaf Kar Deta Hai, Mere Bhi Thode Amal Ko Qubul Farma Le Aur Bahut Se Gunaaho Ko Maaf Karde Be-Shak Tuhi Bada Bakhshne Wala Maherbaan Hai, Ay Allah Mai Tujse Aise Imaan Ka Sawaal Karta Hu Jo Mere Dil Me Saabit Rahe Aur Aise Yaqeen Ka Sawaal Karta Hu Jisse Mai Samajne Lagu Ke Muje Wahi Pahuchega Jo Tune Mere Liye Likha Hai Aur Muje Is Zindagi Se Raazi Rakh Jo Tune Muje Ataa Ki Hai Ay Sab Se Zayaada Rahem Karne Wale Ay Musibat Me Meri Panaah-Gaah Ay Sakhti Me Mere Saathi Ay Ne'amato Me Mere Sar-Parast Aur Ay Meri Chaahat Ke Markaz Tuhi Mere Aibo Ko Chhupaane Wala Khauf Me Amaan Dene Wala Aur Meri Khata'e Bakhshne Wala Hai Lehaza Meri Khata'e Bakhsh De Ay Sab Se Zyaada Rahem Karne Wale.*
*(📚 Mafatihul Jeenan).*
*Salwat*

24/09/2022
Eid E Gadeer Ap Sabhi Ko Mubarak
18/07/2022

Eid E Gadeer Ap Sabhi Ko Mubarak

27/06/2022
02/04/2022

*🌹 MAHE RAMDHAN MUBAARAK 💐*
*⏩ Har Saal Ki Tarah Is Saal Bhi Mahe Ramdhan Ke Mahine Ke Aamaal, Namaz & Dua Rozaanaa Post Ki Jaa'egi, Jise Nahi Chahiye Wo Is Number Par "NO" Likhkar Bhej De.*
*"9867786928".*
*✳ Allah Ham Ko Is Mahine Me Jyada Se Jyada Nek Amal Karne Ki Taufiq Ataa Kare.*
*🙏🏼 Aap Ki Dua'o Me Hame Bhi Yaad Rakhnaa 🙏🏼.*
•••••••••••••••••••••••••
*♻ Mahe Ramdhan Ki 1 Raat Ke Amal.*
*👉🏼 2⃣ × 2⃣ = 4⃣ Rakaat Namaaz Har Rakaat Me Sure Hamd Ke Baad 1⃣5⃣ Martabaa Sure Qulhowallaah.*
•••••••••••••••••••••••••
*👉🏼 Mahe Ramdhan Ki 1 Raat Ki Dua.*
********************
*🔰 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*♻ Al'hamdo Lil'laahil Lazi Akram'naa Beka Ay'yohash Shahrul Mubaarako Allaahum'maa Fa Qaw'wenaa Alaa Seyaa'menaa Wa Qeyaa'menaa Wa Sabbit Aqdaa'manaa Wan Surnaa Alal Qawmil Kaaferin. Allahummaa An'tal Waahedo Falaa Walada Laka Wa An'tas Samado Falaa Shib'h Laka Wa An'tal Azizo Falaa Yo'izoka Shay'oon Wa An'tal Ganiy'yo Wa A**l Faqiro Wa An'tal Mawlaa Wa A**l Ab'do Wa An'tal Gafuro Wa A**l Muznebo Wa An'tar Rahimo Wa A**l Mukhte'o Wa An'tal Khaaleko Wa A**l Makhluko Wa An'tal Hay'yo Wa A**l May'yeto As Aloka Be Rehmatek, An'tag Fera'li Wa Tar Hamani Wa Tajaawaz An'ni In'naka Alaa Kul'le Shay'in Qadeer.*
*🔰TRANSLATION🔰*
*♻ Shuru Kartaa Hu Mai Allaah Ke Naam Se Jo Maherbaan Aur Raheem Hai.*
*Hamd Hai Oos Allaah Ke Liye Jisne Muje Buzurgi Ataa Ki, Ay Barkat Waale Maahe Ramdhaan Tere Sabab Se Baare ilaahaa ! Pas Tu Muje Taaqat Aur Tawaanaa'i Ataa Farmaa, Roze Rakhne Aur Namaaz Padhne Ke Liye Aur Ham Ko Sebaate Qadam Ataa Farmaa, Aur Garohe Kuf'faar Ke Mukaable Par Ham Ko Kaamiyaabi Inaayat Farmaa, Baare ilaahaa ! Tu 1 Hi Hai Pas Tere Koi Aulaad Nahi Hai Aur Tu Be Niyaaz Hai Pas Teraa Koi Mislo Nazir Nahi Hai, Aur Tu To A'isaa Baa-Izzat Aur Jabar-Dast Hai Ke Tuje Kisi Se Ij'jat Nahi Haasil Hui Aur Tu Hi Gani Hai, Aur Mai Fakiro Mohtaaj Hu Aur Tu Hi Aakaa Hai, Mai To 1 Ab'de Naa-Chiz Hu Aur Tu Hi Maaf Karne Waalaa Hai, Aur Mai To Gunah-Gaar Hu Aur Tu Hi Pa'idaa Karne Waalaa Hai, Aur Mai Pa'idaa Kiyaa Huwaa Hu, Aur Tu Hi Zindaa Karne Waalaa Hai, Aur Mai Mar Jaane Waalaa Hu, Mai Tuj Se Fir Teri Rehmat Kaa Waastaa Dekar Sawaal Kartaa Hu, Muje Maaf Farmaa De Aur Muj Par Rahem Farmaa, Mere Gunaaho Se Dar Guzar Farmaa, Tu Har Shay Par Kudrat Rakhtaa Hai.*
*(📚 Zinatus Saa'emeen).*

*SALWAAT*

17/02/2022

*📚 QUR'AAN E KAREEM 📘*
*🧿 PAARAA NO. - 2⃣9️⃣ SURA NO. - 7️⃣3️⃣*
*🧿 SURE MUZZAMMIL, AAYAT - 14 TO 20.*
💧💧💧💧💧💧💧
*⏬ بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ ●*
*1️⃣4️⃣ Jis Din Zameen Aur Pahaad Larazne Lagenge Aur Pahaad Ret Ke Teele Se Bhu're Bhu're Ho Jaa'enge.*
*1️⃣5️⃣ (Ay Makke Waalo) Ham'ne Tumhaare Paas (Oosi Tarah) 1 Rasool (Mohammad s.a.w.w) Ko Bhejaa Jo Tumhaare Maamle Me Gawaahi De Jis Tarah Fir'aun Ke Paas 1 Rasool (Musaa a.s) Ko Bhejaa Thaa.*
*1️⃣6️⃣ To Fir'aun Ne Oos Rasool Ki Naa-Farmaani Ki To Ham'ne Bhi (Oos Ki Sazaa Me) Oos Ko Bahut Sakht Pakdaa.*
*1️⃣7️⃣ To Agar Tum Bhi Naa Maanoge To Oos Din (Ke Azaab) Se Kyo-Kar Bachoge Jo Bach'cho Ko Bu'dhaa Banaa Degaa.*
*1️⃣8️⃣ Jis Din Aasmaan Fat Padegaa (Ye) Oos Kaa Waadaa Puraa Hokar Rahegaa.*
*1️⃣9️⃣ Be'shak Ye Nasihat Hai To Jo Shakhs Chaahe Apne Parwardigaar Ki Raah Ikh'tiyaar Kare.*
*2️⃣0️⃣ (Ay Rasool s.a.w.w) Tumhaaraa Parwardigaar Chaah'taa Hai Ki Tum Aur Tumhaare Cha'nd Saath Ke Log (Kabhi) 2 Teehaa'i Raat Ke Kareeb Aur (Kabhi) Aa'dhi Raat Aur (Kabhi) Teehaa'i Raat (Namaaz Me) Khade Rehte Ho, Aur Khudaa Hi Raat Aur Din Kaa Ach'chhi Tarah An'daajaa Kar Saktaa Hai, Oose Maalum Hai Ki Tum Log Oos Par Puri Tarah Se Haawi Nahi Ho Sakte, To Oos Ne Tum Par Mahar'baani Ki, To Jit'naa Aasaani Se Ho Sake Oot'naa (Namaaz Me) Qur'aan Padh Liyaa Karo, Wo Jaantaa Hai Ki An'kareeb Tum'me Se Baaz Bimaar Ho Jaa'enge Aur Baaz Khudaa Ke Fazl Ki Talaash Me Roo'e Zameen Par Safar Ikh'teyaar Karenge Aur Kuchh Log Khudaa Ki Raah Me Jehaad Karenge, To Jit'naa Tum Se Aasaani Se Ho Sake Padh Liyaa Karo, Aur Namaaz Paabandi Se Padho Aur Zakaat Dete Raho Aur Khudaa Ko Karze Hasnaa Do, Aur Jo Nek Amal Apne Waaste (Khudaa Ke Saam'ne) Pesh Karoge Usko Khudaa Ke Yahaa Beh'tar Aur Silah Me Buzurg Tar Paa'oge Aur Khudaa Se Mag-Ferat Ki Duaa Maango, Beshak Khudaa Badaa Bakhshne Waalaa, Maherbaan Hai.*

*🧿 Alhamdolillah SURE MUZZAMMIL Khatm Huwaa 🔹.*

*SALWAAT*

15/02/2022

Ap Sabhi Ko Wiladat e Maula Ali (a.s) Mubarak

Address

सुल्तानपुर, उत्तर प्रदेश
Sultanpur
228001

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when ILM, AAMAL & DUA posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share